Chiraag ban ke jalta hoon main raat bhar
December29
chiraag ban ke jalta hu raat bhar,
hawa se puch meri aukaat kya hai
kabhi baith aa ke rubaroo,
phir dekh meri bisaat kya hai
zindagi ne sikhaya hai har sabak,
isse behtar kitaab kya hai
na puch to accha hai bebasi meri,
sahar janta hai jawab kya hai
tum meri khamoshi pe bhi khamosh they,
ab aati ye aawaz kya hai
badlegi ab taseer har mukammal,
dekhte jao mizaz kya hai